Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye Lyrics

Mere Aaqa Madine Bula Lijiye

Mere Aaqa Madine Bula Lijiye



Taiba Ke Jaane Waale Jaa Kar Bade Adab Se

Mera Bhi Qissa e gam Kehna Shah e Arab Se


Kehna Ki Shaah E Alam Ik Ranj O Gam Ka Maara

Donon Jahaan Mein Jis Ka Hain Aap Hi Sahaara


Halaat E Pur Alam Se Is Dam Guzar Raha Hai

Aur Kaanpte Labon Se Fariyaad Kar Raha Hai


Baar E Gunaah Apna Hai Dosh Par Uthaae

Koi Nahin Hai Aisa Jo Poochhne Ko Aae


Bhoola Hua Musaafir Manzil Ko Dhoondhta Hai

Taarikiyon Mein Maah E Kamil Ko Dhoondhta Hai


Seene Mein Hai Andhera Dil Hai Siyaah Khaana

Ye Hai Meri Kahaani Sarkaar Ko Sunaana


Kehna Mere Nabi Se Mehroom Hun Khushi Se

Sar Par Aek Abr E Gam Hai Ashkon Se Aankh Nam Hai


Paamaar E Zindagi Hun Sarkaar Ummati Hun

Ummat Ke Rehnumaao Kuchh Arz E Haal Sun Lo


Fariyaad Kar Raha Hun Main Dil Figaar Kab Se

Mera Bhi Qissa E Gam Kehna Shah E Arab Se


Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaae

Salaam Ke Liye Haazir Gulaam Ho Jaae



Mera Dil Tadap Raha Hai Mera Jal Raha Hai Seena

Ki Dawa Wahin Milegi Mujhe Le Chalo Madina


Nahi Maal O Zar To Kya Hai Main Gareeb Hun Yahi Na

Mere Ishq Mujh Ko Le Chal Tu Hi Jaanib E Madina


Aaqa Na Toot Jaae Ye Dil Ka Aabgeena

Ab Ke Baras Bhi Maula Reh Jaaun Main Kahin Na


Dil Ro Raha Hai Jin Ka Aansu Chhalak Rahe Hain

Un Aashiqon Ka Sadqa Bulwaaiye Madina


Mere Aaqa Madine Bula Lijiye

Mere Aaqa Madine Bula Lijiye


Madine Jaaun Phir Aaun Dobaara Phir Jaaun

Ye Zindagi Meri Yuhi Tamaam Ho Jaae



Ae Aazim E Madina Ja Kar Nabi Se Kehna

Soz E Gam E Alam Se Ab Jal Raha Hai Seena


Kehna Ke Badh Rahi Hai Ab Dil Ki Izteraabi

Qadmon Se Door Hun Main Qismat Ki Hai Khraabi


Kehna Ke Dil Mein Mere Armaan Bhare Hue Hain

Kehna Ke Hasraton Ke Nashtar Chubhe Hue Hain


Hai Aarzoo Ye Dil Ki Main Bhi Madine Jaaun

Sultaan E Do Jahaan Ko DaaG E Jigar Dikhaaun


Kaatun Hazaar Chakkar Taiba Ki Har Gali Ke

Yunhi Guzaar Doon Main Ayyaam Zindagi Ke


Phoolon Pe Jaan Nisaarun Kaanton Pe Dil Ko Waarun

Zarron Ko Doon Salaami Dar Ki Karun Gulaami


Deewaar O Dar Ko Choomun Chaukhat Pe Sar Ko Rakh Dun

Rauze Ko Dekh Kar Main Rota Rahun Baraabar


Aalam Ke Dil Men Hai Ye Hasrat Na Jaane Kab Se

Mera Bhi Qissa E Gam Kehna Shah E Arab Se



Ik Roz Hoga Jaanaa Sarkaar Ki Gali Mein

Hoga Wahin Thikaana Sarkaar Ki Gali Mein


Dil Mein Nabi Ki Yaadein Lab Par Nabi Ki Naatein

Jaanaa To Aise Jaanaa Sarkaar Ki Gali Mein


Ya Mustafa Khudara Do Izn Haajiri Ka

Kar Loon Nazaara Aa Kar Main Aap Ki Gali Ka


Ik Baar To Dikha Do Ramzaan Mein Madina

Beshak Bana Lo Aaqa Mehmaan Do Ghadi Ka


Naseeb Waalon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaae

Jo Zindagi Ki Madine Mein Shaam Ho Jaae


Bula Lo Na Bula Lo Na

Bekhud Kiye Dete Hain Lyrics


मेरे आक़ा मदीने बुला लीजिए

मेरे आक़ा मदीने बुला लीजिए



तैबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से

मेरा भी क़िस्सा-ए-ग़म कहना शह-ए-अरब से


कहना कि शाह-ए-आलम इक रंज-ओ-ग़म का मारा

दोनों जहां में जिस का हैं आप ही सहारा


हालात-ए-पुर-अलम से इस दम गुज़र रहा है

और कांपते लबों से फ़रियाद कर रहा है


बार-ए-ग़ुनाह अपना है दोश पर उठाए

कोई नहीं है ऐसा जो पूछने को आए


भूला हुआ मुसाफ़िर मंज़िल को ढूंढता है

तारीकियों में माह-ए-कामिल को ढूंढता है


सीने में है अंधेरा दिल है सियाह ख़ाना

ये है मेरी कहानी सरकार को सुनाना


कहना मेरे नबी से महरूम हूं ख़ुशी से

सर पर इक अब्र-ए-ग़म है अश्क़ों से आंख नम है


पामाल-ए-ज़िंदगी हूं सरकार उम्मती हूं

उम्मत के रहनुमा हो कुछ अर्ज़-ए-हाल सुन लो


फ़रियाद कर रहा हूं मैं दिल फ़िगार कब से

मेरा भी क़िस्सा-ए-ग़म कहना शह-ए-अरब से


हुज़ूर ऐसा कोई इंतिज़ाम हो जाए

सलाम के लिए हाज़िर ग़ुलाम हो जाए



मेरा दिल तड़प रहा है मेरा जल रहा है सीना

कि दवा वहीं मिलेगी मुझे ले चलो मदीना


नहीं माल-ओ-ज़र तो क्या है मैं ग़रीब हूं यही ना

मेरे इश्क़ मुझ को ले चल तू ही जानिब-ए-मदीना


आक़ा न टूट जाए ये दिल का आबगीना

अब के बरस भी मौला रह जाऊं मैं कहीं ना


दिल रो रहा है जिनका आंसू छलक रहे हैं

उन आशिक़ों का सदक़ा बुलवाइए मदीना


मेरे आक़ा मदीने बुला लीजिए

मेरे आक़ा मदीने बुला लीजिए


मदीने जाऊं फिर आऊं दोबारा फिर जाऊं

ये ज़िंदगी मेरी यूंही तमाम हो जाए



ऐ आज़ीम-ए-मदीना जा कर नबी से कहना

सोज़-ए-ग़म-ए-अलम से अब जल रहा है सीना


कहना के बढ़ रही है अब दिल की इज़्तिराबी

क़दमों से दूर हूं मैं क़िस्मत की है ख़राबी


कहना के दिल में मेरे अरमां भरे हुए हैं

कहना के हसरतों के नश्तर चुभे हुए हैं


है आरज़ू ये दिल की मैं भी मदीने जाऊं

सुल्तान-ए-दो-जहां को दाग़-ए-जिगर दिखाऊं


काटूं हज़ार चक्कर तैबा की हर गली के

यूंही गुज़ार दूं मैं अय्याम ज़िंदगी के


फूलों पे जां निसारूं कांटों पे दिल को वारूं

ज़र्रों को दूं सलामी दर की करूं ग़ुलामी


दीवार-ओ-दर को चूमूं चौखट पे सर को रख दूं

रौज़े को देख कर मैं रोता रहूं बराबर


आलम के दिल में है ये हसरत न जाने कब से

मेरा भी क़िस्सा-ए-ग़म कहना शह-ए-अरब से



इक रोज़ होगा जाना सरकार की गली में

होगा वहीं ठिकाना सरकार की गली में


दिल में नबी की यादें लब पर नबी की नातें

जाना तो ऐसे जाना सरकार की गली में


या मुस्तफ़ा ख़ुदारा दो इज़्न हाज़िरी का

कर लू नज़ारा आ कर मैं आप की गली का


इक बार तो दिखा दो रमज़ान में मदीना

बेशक बना लो आक़ा मेहमान दो घड़ी का


नसीब वालों में मेरा भी नाम हो जाए

जो ज़िंदगी की मदीने में शाम हो जाए


बुला लो ना बुला लो ना

My name is Muhammad Ittequaf and I'm the Editor and Writer of Namazein. I'm a Sunni Muslim From Ranchi, India. I've experience teaching and writing about Islam Since 2019. I'm writing and publishing Islamic content to please Allah SWT and seek His blessings.