Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai

Jo Rabbe Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai

Kal Pul Se Hamein Jis Ne Khud Paar Lagana Hai

Zahra Ka Wo Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai

Us Hashmi Doolha Par Kaunain Ko Main Waaroon

Jo Husn O Shamaail Mein Yakta E Zamana Hai

Izzat Se Na Mar Jaen Kyun Naam E Muhammad Par

Ham Ne Kisi Din Yun Bhi Duniya Se To Jana Hai

Aao Dar E Zahra Par Failaaye Hue Daaman

Hai Nasl Kareemon Ki Lajpaal Gharana Hai

Hun Shaah E Madina Ki Main Pushtpanaahi Mein

Kya Is Ki Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai

Ye Keh Ke Dar E Haq Se Li Maut Mein Kuchh Mohlat

Meelaad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai

Qurbaan Us Aaqa Par Kal Hashr Ke Din Jis Ne

Is Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chhupaana Hai

Sau Baar Agar Tauba Tooti Bhi To Hairat Kya

Bakhshish Ki Riwaayat Mein Tauba To Bahaana Hai

Har Waqt Wo Hain Meri Duniya E Tasawwur Mein

Ai Shauq Kahin Ab To Aana Hai Na Jaana Hai

Purnoor Si Raahein Hain Gumbad Pe Nigaahein Hain

Jalwe Bhi Anokhe Hain Manzar Bhi Suhana Hai

Ham Kyun Na Kahen Un Se Roodaad E Aalam Apni

Jab Un Ka Kaha Khud Bhi Allah Ne Mana Hai

Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar

Jaisa Hai Naseer Aakhir Saail To Purana Hai

इक मैं ही नहीं उन पर क़ुर्बान ज़माना है

जो रब्ब ए दो आलम का महबूब यगाना है

कल पुल से हमें जिस ने ख़ुद पार लगाना है

ज़हरा का वो बाबा है हसनैन का नाना है

उस हाशमी दूल्हा पर कौनैन को मैं वारूं

जो हुस्न ओ शमाइल में यकता ए ज़माना है

इज़्ज़त से न मर जाएं क्यूं नाम ए मुहम्मद पर

हम ने किसी दिन यूं भी दुनिया से तो जाना है

आओ दर ए ज़हरा पर फैलाए हुए दामन

है नस्ल करीमों की लजपाल घराना है

हूं शाह ए मदीना की मैं पुश्त पनाही में

क्या इस की मुझे परवाह दुश्मन जो ज़माना है

ये कह के दर ए हक़ से ली मौत में कुछ मोहलत

मीलाद की आमद है महफ़िल को सजाना है

क़ुर्बान उस आका पर कल हश्र के दिन जिस ने

इस उम्मत ए आसी को कमली में छुपाना है

सौ बार अगर तौबा टूटी भी तो हैरत क्या

बख़्शिश की रिवायत में तौबा तो बहाना है

हर वक़्त वो हैं मेरी दुनिया ए तसव्वुर में

ऐ शौक़ कहीं अब तो आना है न जाना है

पुर नूर सी राहें हैं गुंबद पे निगाहें हैं

जल्वे भी अनोखे हैं मंज़र भी सुहाना है

हम क्यूं न कहें उन से रूदाद ए अलम अपनी

जब उन का कहा ख़ुद भी अल्लाह ने माना है

महरूम ए करम इस को रखिए न सर ए महशर

जैसा है नसीर आख़िर साइल तो पुराना है

My name is Muhammad Ittequaf and I'm the Editor and Writer of Namazein. I'm a Sunni Muslim From Ranchi, India. I've experience teaching and writing about Islam Since 2019. I'm writing and publishing Islamic content to please Allah SWT and seek His blessings.